दुश्मन को भी प्यार करना, मसीहा सिखाते हैं।
1. एक गाल पर जो मारे तमाचा, दूजा गाल भी देना,
ले जाये कोई एक मील जबरन, दो मील तू साथ जाना,
अपनों को तो अपना सब कुछ सब लोग देते है,
गैरों पर भी सब कुछ लुटाना मसीहा सिखाते हैं।
दुश्मन को भी प्यार करना, मसीहा सिखाते हैं।
2. अपनों से जैसा वैसा ही अपने, पड़ोसी से प्यार करो,
यीशु मरा तेरे पापों के खातिर, यह विश्वास करो,
अपनो पर तो लोग यहां पर ऐतबार करते है,
गैरों पर भी ऐतबार करना, मसीहा सिखाते हैं।
दुश्मन को भी प्यार करना, मसीहा सिखाते हैं।
3. जो दे तुमको कांटे उसका दामन फूलों से भर दो,
यीशु ने तुमको माफ किया तुम भी सबको माफ कर दो,
अपनों को तो गुनाहों की माफी सब लोग देते है,
दुश्मन को भी माफ करना, मसीहा सिखाते है।।
दुश्मन को भी प्यार करना, मसीहा सिखाते हैं।
Apno ko toh is duniya mein, sab pyaar karte hai,
Dushman ko bhi pyaar karna, Masiha sikhate hain
1. Ek gaal par jo maare tamaachaa, dooja gaal bhi dena,
Le jaaye koi ek meel jabran, do meel tu saath jaana,
Apno ko toh apna sab kuch sab log dete hai,
Gairon par bhi sab kuchh lutaana Masiha sikhaate hain
Apno ko toh is duniya mein, sab pyaar karte hai,
Dushman ko bhi pyaar karna, Masiha sikhate hain
2. Apno se jaisa vaisa hi apne, padosi se pyaar karo,
Yeshu maraa tere paapon ke khaatir, yeh vishwaas karo,
Apno par toh log yahaan par aitbaar karte hai,
Gairon par bhi aitbaar karna, Masiha sikhaate hain
Apno ko toh is duniya mein, sab pyaar karte hai,
Dushman ko bhi pyaar karna, Masiha sikhate hain
3. Jo de tumko kaante uska daaman phoolon se bhar do,
Yeshu ne tumko maaf kiya tum bhi sabko maaf kar do,
Apno ko toh gunaaho ki maafi sab log dete hai,
Dushman ko bhi maaf karna, Masiha sikhaate hai
Apno ko toh is duniya mein, sab pyaar karte hai,
Dushman ko bhi pyaar karna, Masiha sikhate hain
- अगर आप इस लेख में कोई गलती देखे तो हमें कमेंट बॉक्स में बताइए _धन्यवाद !